Ravindra Shekhawat Blog Ravishekhawat.blogspot.com Ravindra Singh BlogRavindra Blog....................!!Please Follow Ravindra Singh

Pages

Wednesday, May 4, 2011

Hello Friends...........!!


--------------------------------------------------------------------------------------------- 

It’s me Only..!!

--------------------------------------------------------------------------------------------- 

Hello Friends..

I  just created this blog so that u can come to know about me what i think what i experienced......!!

Myself  Ravindra, my name means king of inderlok.
I am very natural and very optimistic. Moreover I love to be simple and honest. But sometime i am often moody in my nature..

My Date of Birth is 25th February. I am a Suryvanshi and you should know that all Suryvanshi are very trustful.

Regarding my Studies, I am Passed my Graduation from Jaipur University of Jaipur and my subject is Arts. Interesting for me and boring for others as usual. I have also done One year Diploma course in Computer manual Accounts from a reputed ACI Institute. Right now i am working  in an SEO. Company in Jaipur. You know Padhne ka Shauk Mujhe Bahut Hai.

I want to do something for those people who were totally ignored by our Society, Polity and Humanity. In shortly i can say that i have my interest in social welfare, but my field is totally different from my Target. And here i am still finding some scope to fulfill my internal Intention. i am struggling for the way of my Achievement.

Usually i like to eat Chapati with any vegetable, some rice and daal,sometime spicy food like chicken also but very little not like so much. but I like to drink milk.
In Drinks- cold drink, I prefer only fruit juice, in summer I like to have mango shake....

I Like to watch movies of Jacky chain, brush lee, and Sahid kapoor, Salmaan Khan. Wanted, Chup chupke, Dil mange more. Chup chupke are my most favorite movies. I can’t miss them at once even. Well I also like to watch serious and informative type movies like Titanic and Water. Baki faltu ki movies na mei dekhta hu aur na hi dekhne me interested hu. Salmaan Khan ki recent movie 'Veer' mei shayad kabhi bhool nahi sakta, kuch khas yaade judi hai us movie se. So, this movie is also an important movie of my life.

I am played Cricket and football Games usually, but i like to watch Cricket. Sachin Tendulkar, Virendra Sehwag and Yovraj Singh, Zaher khan senwarn , l. mollinga are my Favourite Cricket star, and Tennis too, Mariya Sharapova and Martina Hingis, Mahesh bhupati and Leander paes are my favourite.  My other hobbies are listening music, Online and Offline chatting, Reading Novels of Prem Chand and Shakespeare's "The merchant in Venice'. I am interested for mitting of new peoples. 
Right i am living with my family in Jaipur, (Rajasthan)

Life me bahut si aesi baate hoti hai jinhe ham maante hai kehte bhi hai, par kuch karte nahi..
Kya karni aur kathni me fark laazmi hai ..??
Nahi bilkul bhi  nahi jo na kar sako use kaho hi mat warna jisse wo kaha jaye uski umeede (expectation) kafi badh jati hai aapse.

You know ye kalyug hai aur is yug ki ek khasiyat hai, yaha insaan aur cheezo me koi fark nhi samjha jata hai. jab tak koi cheez hame achhi lagti hai ham use sambhal ke rakhte hai aur jese hi wo hame purani lagne lagti hai ya hamare kaam ki nahi hoti to hame use fenk dete hai ye hi halat aaj insaano ki bhi hai jab tak aap kisi ko achhe lagte hai tab tak aap bahut achhe hai aur jab aap me kamiya nazar aane lage to aap kisi layak nhi.

Ye ham insaano ki aadat si ho gayi hai, chahe wo aap ho ya ham, but here i would really like to say ke life me kuch log ek baar hi aate hai, agar unke hone ka ehsaas hai hame to uss ehsaas ko khatm mat hone do, use apne paas rehne do kisi bhi kimat pe use kahi aur jaane mat do, kyuki wo hamari is life ka ek bahut jaruri hissa hai jise sambhal ke rakhna bahut hi jaruri hai kyuki jab hame jarurat hogi kisi ki to wo hi  hamara hai aur hamesha hamara rahega...!!

If anybody wants to contact me here is my mail id mail me your query:- 
ravi7.power@gmail.com


Lesson:- What is this life if, full of care,
               We have no time to stand and stare..!!



Friday, April 22, 2011

Very Nice SMS


 
  
 
Kbhi us ko nazr andaz na kro,
Jo tmhari boht parwah krta ho,
Warna kisi din tumhen Ehsas hoga,
k Pathar jamaa krte krte.. tumne heera ganwa dia..!!  
 
Chahte he jinhe chaht se jyada, 
Wo hamari chahat samjhte nahi,
Dil me basi he surat jinki,
Unko bhulaker bhul sakte nahi hum.
 
 


Monday, April 18, 2011

Dard dene wale bhut milte hai





 
Dosti karna itna asan hai, 
Jaise mitti par mitti se mitti likhna,
Lakin dosti nibhana itna muskil hai, 
Jaise paani par panni se panni likhna.......


Apni To Zindgi Ki Ajeeb Kahani He,
Jis Chiz Ko Chaha Vo Begani He,
Haste Hain To Sirf Duniya K Liye,
Varna In Aankhon Me Pani Hi Pani Hai…

Jab hum is duniya se chale jayenge,
mat sochna aapko hum aapko bhul jayenge,
Ek bar tarro k taraf dekh kar muskura dena ,
hum tut kar aap ki har khwaish puri kar jayenge.....


Chahne se har baat nahi hoti,
Thode se andhere se raat nahi hoti,
Jinhe ham jaan se jyada chahte hai,
Unse har roz mulaqat nahi hoti….



Dard dene wale bhut milte hai,
Magar dard lene wale kam milte hai,
Naazuk waqt mai hame yaad karna,
Kyunki zindagi mai dil se chahne wale kam milte hai….



Teri dosti ne dard sehna sikha diya,
Meri rooh ko jeena sikha diya,
Tu kya jaane kya hai tera sath,
Tere sath ne mere aanshuo ko muskurana sikha diya….



Dil tut jata hai par khanak nahi hoti,
Har dhadkan roti hai par palak nahi roti,
Mohabbat naam hai khuda ki bandagi ka,
Jo sharto par mile wo mohabbat nahi hoti….



Bhagwan de ke bhi aajmata hai,
Le ke bhi aajmata hai,
Garib roti hasil karne ke liye doadta hai,
Amir roti pachane ke liye bhagta hai…..



Jab haqikat hai ki har jarre mai tu rehta hai,
Fir zamin par kahi masjid kahi mandir kyu hai…..



Dil lagana agar hota asaan,
To na hote yu aashiq pareshan,
Sirf dil hi nahi lut ta isqe mai yaaro,
Loot jate hai Roti, Kapda or Makaan…..



Kisi ka hath thamo to chodna nahi,
Waada kisi se karo to todna nahi,
Koi bhale hi thode dil tumhara,
Agar tum ho sache to uska sath chodna nahi….



Ham auro ko apna bnane mai reh gaye,
Sabke dukho ko mitane mai reh gaye,
Meri manzil samne se aai or chali gai,
Aur ham dusro ko manzil dhikhane mai reh gaye…..



Wo halato ke aage darr gaye,
Pyaar apna khud hi ruswa kar gaye,
Bani thi manzil jo meri kasti ki,
Wo mujhko tufaano ke hawale kar gaue…..



Kaam karo aisa ki pehchan ban jaaye,
Har kadam aisa chalo ki nisaan ban jaaye,
Yaha zindagi to sab kaat lete hai,
Zindagi jiyu aise ke misaal ban jaaye….



Koi gila na koi sikwa rahe,
Ye aarzo hai ek silsila bane rahe,
Bas ek umeed hai aapse,
Khafa na hona agar ham khafa rahe…..



Aapki dhadkan se hai rista hamara,
Aapki saanso se hai nata hamara,
Bhool kar bhi kabhi bhool na jana,
Aapki yaado ke share hai jeena hamara….



Daga de jaaye use yaar nahi kehte,
Khusi na de use pyaar nahi bhar nahi kehte,
Bas ek baar dhadkta hai dil kisi ke liye,
Jo dubara ho use pyaar nahi kehte….



Insaan 2 cheezo se hamesha harta hai,
Ek waqt dusra pyaar,
Dono zindagi mai bhut khaas hote hai,
Waqt kisi ka nahi hota, Or pyaar har kisi ka nahi hota….


Kuch lamhe guzre unke sath,
Magar koi baat na ho saki,
Bewafa to ye taqder nikli,
Ke fir kabhi mulaqat na ho saki…



Kuch likh nahi paate kuch suna nahi paate,
Haal-E-Dil zubaan par la nahi paate,
Wo utar gaye hai dil ki gehraio mai,
Wo samjh nahi paate ham samjha nahi paate….



Roz aate hai chand sitare.
mahar koi khusi ka pegaam nahi aata,
Hame to intzaar hai zinka,
sayad unhe hamara khyaal nahi aata….



Mana ki kuch dilo mai nafrat hoti hai,
Par har dil mai koi hasrat hoti hai,
Insaan uske aage kyu majboor ho jata hai,
Jis se use bepanha mohbbat hoti hai….



Yaad rakhenge har mohbbat aapki,
Lehro ki tarha vo rawani aapki,
Ye jo apno ne hame apne dil mai jagha di hai,
Ye kismat hai meri or mehrawani aapki….



Dil tha aamir or muqdar gareeb tha,
Mil kar bichadna mera naseeb tha,
Chah kar bhi kuch kar na sake ham,
Dil bhi jalta raha or samundar bhi karib tha…..



Mazza aata hai kis apne ko satane mai,
Ruthe na koi to majja kya manane mai,
Ek dost se hi to khusi hai zara si,
Warna rakha kya hai is zindagi aur zamane mai….



Haqiqat ki raho mai sapne toot jate hai,
Mosam badle to phool bhi murjha jate hai,
Kabhi hame yaad bhi kiya karo ye dost,
Fir mat kehna apne kyu ruth jaate hai….



Dard jo tune diya wo gehra diya,
Karke waada tune mujhko bhoola diya,
Zhakham dene wale tera bhi shukriya,
Jo zindagi ka tune matlab samjha diya….



Zaam kadwa hai itna bhi nahi ke piya na jaaye,
Zindagi mai gum hai itna bhi nahi ke jiya na jaaye,
Maana sms par charge hai,
Lekin itna bhi nahi ke kiya na jaaye….



Pahle mohbbat mai main khata kar raha hu,
Kisi se wafa kar raha hu,
Wo thukraye to kya hua mere khuda,
Tuhi mila de Dua kar raha hu….



Pyaar ke bhandan kuch ajeeb hote hai,
Jitne nazuk utne hi majboot hote hai,
Utha lete hai jo kanto ko hatho mai,
phool bhi unhi ko naseeb hote hai…..



Is tarh hamari chaht ka imithihan mat lijiye,
Kyu ho khafa ye byaan to kijiye,
Kar dijiye maaf agar ho gai hai khata,
Yu yaad na karke sazza na dijiye…..



Har raat ek naam yaad aata hai,
Kabhi subha kabhi sham yaad aata hai,
Jab sochta hu karlu dusri mohbbat,
tab pahli mohbbat ka anjaam yaad aata hai…..



Isqe poora hi nahi sazza ke bagair,
Zindagi beiman hai wafa ke bagair,
Naaz karne wale apne husn pe ye sun le,
Ke khusbu bhi adhuri hai hawa ke bagair….



Ham lakh ache sahi log kharab kehte hai,
Bigda hua wo hamko nawaab kehte hai,
Hum to aise badnaam ho gaye hai ki,
Paani bhi piye to kog sharab khete hai….



Jo mil gaya use muqqdar samjho,
Khud ko waqt ka sikander samjho,
Kyu darte ho gum ke tufano se,
Sabko lehre or khud ko samunder samjho…..



Kafan na daalo mere chehre par,
Mujhe aadat hai muskurane ki,
Naa dafnao meri laash ko,
Mujhe abhi umeed hai uske aane ki…..



Bin unke zindagi mai koi khusi nahi,
Vo nahi to labo par aaj hasi nahi,
Naa samjhe vo agar to ham kya kare,
Is dil mai unke siva kisi or ko jagha nahi….



Kab dusro ka sath nibhate hai log,
Anshu ki tarh bichad jaate hai log,
Wo zamana or tha jab rote the auro ke gum mai,
Ab to apno ko rula ke muskurate hai log…..



Zindagi dosto mai mila karti hai,
Aur ye dost bhi ajeeb hote hai,
Dene par aaye to jaan de dede,
Lene par aaye to hassi tak chin lete hai….

Dusre ka kya pata kab dil tod de




Wo ajnabi hai Jaane kab chod de, 
Hawa ka kya pata jaane kab rukh mod de,
Ham to dusre ka dil khush rakhte hai,
Magar dusre ka kya pata kab dil tod de…..



Ek din mai bhi kafan odh jaunga,
Har ek rista zamane se tod jaunga,
Jitna jee chahe sata lo mujhko,
Ek din rota hua sabko chod jaunga….



Itna bhi talukat na banaye koi,
Aankh bhad aaye jab aankh chudaye koi,
Qurbaan kar denge jaan bhi apni,
Kuch dair tak sath to nibhaye koi….



Wo yaad nahi karte ham bhula nahi sakte,
Wo hasa nahi sakte ham rula nahi sakte,
Dosti itni khubsurat hai hamari,
Wo bata nahi sakte or ham jata nahi sakte….



Andhera mila hai to roshni bhi milegi,
Gum mila hai to khusi bhi milegi,
Rehta nahi ek sa mosam,
Anshu mila hai to hasi bhi milegi….



Badi gehrai se chaha hai tujhe,
Badi duan se paya hai tujhe,
Tujhe bhulane ki sochu bhi to kaise,
Kismat se lakiro ki churaya hai tujhe….



Tujhse doorii ka ehsas satane laga,
Tere sath guzra har lamha yaad aane laga,
Tujhe jitna bhulane ki kosish ki,
mere tu or dil ke pass aane laga tu….



Dard dene wale bhut milte hai,
Magar dard lene wale kam milte hai,
Nazuk waqt mai hame yaad karna,
Quanki zindagi mai dil se chahne wale kam milte hai….



Samunder ne ladki se pucha mohbbat ka sila kya hota hai,
To dusri taraf se kinara bola us se kya puchte ho,
Us aashiq se pucho jo mere pass bethkar rota hai…


Raat ko jab hamne aankh band ki to aap hame sabse khush nazar aaye,
ye tarika hai agara aapko khush dekhne ka,
To khuda kare ye aankhe sada ke liye band ho jaaye…



Jeene ki khawahish mai har roz marte hai,
Wo aaye na aaye ham to intzaar karte hai,
Jhooth hi sahi unka waada,
Ham sach maan kar aitbaar karte hai…



Dilon se khelne ka hunar hamko nahi aata,
Isliye isqe ki waazi ham haar gaye,
Meri zindagi se sayad unhe bhut pyaar tha,
Isliye mujhe zinda hi maar gaye….



Risto ki duniya mai aksar aisa hota hai,
Dil se inhe nibhane wala hi rota hai,
Jhukna pade to jhuk jana apno ke liye,
Kyunki har rista ek nazuk samjhota hota hai….



Aankho mai hazaro sapne sajaye hai,
Dil mai chahat ke deep jalaye hai,
Ea- khuda poora ho sapna un nighao ka,
jo is waqt hamare sms par nazar jamaye hai…



jhuta apnapan to har koi jatata hai,
Wo apna hi kya jo pal pal satata hai,
yakin na karna har kisi par,
Kyunki karib hai koi kitna ye waqt hi batata hai…



Mohbbat aur muat dono hi bin bulaye mehman hai,
kab aa jaye koi nahi janta,
Dono ka ek hi kaam hai,
Ek dil le jaati hai to dusri dhadkan….



teri judai ka gum ham she nahi sakte,
bhadi mehfil mai kuch keh nahi sakte,
Mere girte aanshu padh kar dekho,
vo bhi kahnege tere bina ham reh nahi sakte….



Waqt ki aanch mai pathar bhi pighal jaate hai,
Khusi ke lamhe gum mai badal jaate hai,
kuan karega hamko yaad,
Waqt ke sath sabke khayaal bhi badal jaate hai…



Honto par pyaar ka tarana rakhna,
Dil mai pyaar ka fasana rakhna,
Ham dilo jaan se chahte hai tumko,
Bas hame apne dil mai basa ke rakhna….



Kya pata hai mere darne ki,
Khwaahish hai unki yaad mai marne ki,
Unhe kyu itna yaad karta hai dil,
Jinhe fursat hi nahi hame yaad karne ki….



Unhone sath dene ka wada kiya tha,
Har dard baatne ka wada kiya tha,
Agar vo hame bhool kar khush hai to koi gum nahi,
Hamne bhi to unhe khush rakhne ka waada kiya tha….



Bhut kuch sikha jaati hai zindagi,
Hara kar rula jaati hai zindagi,
Jee sako utna jee lo,
Quanki bhut kuch baaki rehta hai or khatam ho jaati hai zindagi….



haqqiaqt pehchan lo bichad jaane se pahle,
Meri sun lo apni sunane se pahle,
ye soch lena hame bhool jane se pahle,
Bhut roti hai aankhe muskurane se pahle….



Hota kaise use gum hamari ruswai ka,
Jab farq pada nhi use hamari judai ka,
khamosi se saha hamne har gum,
To ilzaam laga diya hum par bewafai ka…..

Dekho ye kalyug ka daur aaj us Malik par faisle sunaaye ja rahe hai…

Bhaadi pathro se mandir banaye ja rahe hai,
Chuna mitti milakar masjid chunvaye ja rahe hai,
kehte hai sabhi ke faisle wo maalik karta hai,
Dekho ye kalyug ka daur aaj us Malik par faisle sunaaye ja rahe hai…


Tanha chod kar hamko hosla bhi dete ho,
Sans chin kar jeene ki dua bhi dete ho,
Ek taraf judai ka gum bhi jaari hai,
Aur muskurane ka mashwraa bhi dete ho….



Sab kuch hai mere pass par dil ki dawa nahi,
Door ho mujhse par mai khafa nahi,
Malum hai ab bhi tum chahti ho mujhe,
Thodi ziddi ho par bewafa nahi…..



Rah na paoge kabhi bhulakar dekho,
Yakin na ho to aazmakar dekho,
Har jagha kami hogi mehsus hamari,
Apni mehfil ko kitna bhi saza kar dekho….



Har insaan ko gulaab ke us phool ki tarha hona chahiye,
Jo un hatho mai bhi khusbu deta hai,
Jo use masal kar fank deta hai,



Kuch fasle sirf aankho se hote hai,
Dil ke fasle do bato se hote hai,
Koi laakh bhulane ki koshish kare par,
kuch riste khatam sirf saanso se hote hai…..



Tum khamosh ham pareshan kyu hai,
Tum ziddi ham nadan kyu hai,
Aapki dosti hamari dhadkan hai,
Par aap ye jaankar bhi anjaan kyu hai….



Bhulna aapko aasan nahi hai,
Aur fir ham vaise insaan nahi hai,
Hamari yaado ka saboot hai aapki dhadkane,
Par sayad us taraf aapka dhyaan nahi hai….



Zikar unka hi raha mere fasaane mai,
Jinko jaan se jyada chaha hamne zamane mai,
Tanhai mai unki hi yaad ka sahara mila,
Nakamyab rahe jinhe ham bhoolane mai….



Narajgi ka sila to puch liya karo,
Duriya lakh ho yaad to kar liya karo,
Mat rakho besak har pal ki khabar,
Zinda hai ya mar gaye ye to jaan liya karo….



Kuch pal ke lamhe ab ke saal mai hai,
Hum unke or vo mere khayaal mai hai,
Tanha the pahle ham beparwah tha zindagi,
Ab fikar lagi rehti hai vo kis haal mai hai….



Mat puch mere sabar ki had kaha tak hai,
Tu sitam kar tera bas jaha tak hai,
Tujse reham ki umeed to gairo ko hogi,
Mujhe to dekhna hai tu berehama kaha taka hai…..



Bhid mai thi wo na ro saki hogi,
Magar yakin maNO raat mai na so saki hogi,
Wo saqs jise samjhne mai umar lagi,
Bichad ke mujhse kisi ki na ho saki hogi….



Chahe wafa mai thokar khate raho,
Fir bhi rasme waade nibhate raho,
Yahi to isqe ka dastoor hai,
Ki jakham khate raho or muskurate raho….



Bina jaane kabhi ikrar na kijiye,
Muskura kar dil ko bekrar na kijiye,
Kabhi kabhi gulaab bhi de jaate hai jakham gehre,
Har gulaab par aitbar na kijiye….



Itna bhi pyaar mat karo kisi se,
ki zindagi se darr lagne lage,
Maut to sabko aani hai ek na ek din,
Magar itna bhi na tadpo ki maut se mohbbat hone lage….



Apni zindagi ka alag usool hai.
Dosti ki khatir to kaante bhi kabool hai,
Has ke chal du kaanch ke tukdo par,
Agar dost kahe ye mere bichaye hue phool hai….

Kya banane aaye the kya bana bethe

















 Kya banane aaye the kya bana bethe,
Kahi mandir bana bethe Kahi maszid bana bethe,
Hamse to jaat achi hai parindo ki,
Kabhi mandir par ja bethe to kabhi maszid par ja bethe…..


Raat gehri hai darr bhi sakte hai,
Hum jo kehte hai kar bhi sakte hai,
Aap jo ruthe to itna bhi na sochna,
Hum to pagal hai mar bhi sakte hai….



Fasle itne to pahle na hua karte the,
Mai vo hu jise tum apna kaha karte the,
Tum agar bhool gaye mujhe to koi baat nahi,
Zakham to is dil ko pahle bhi mila karte the….



Jis din aap zameen par aaye the,
Us din vo aasma bhi khoob roya tha,
Aakhir uske aanshu thamte bhi kaise,
Usne mere liya apna sabse pyaara sitara jo khoya tha….



"True thought" Ped rota hai khoon ke aansu,
Log samjhte hai gulaab deta hai,
Agar ped faldar ho to,
Har koi pathro se jabab deta hai…..



Yaad karne se kisi ka didar nahi hota,
Yuhi kisi ko yaad karna pyaar nahi hota,
Yaado mai kisi ki hum bhi tadpte hai,
Bas use hamare dard ka ehsaas nahi hota….



Taqdir ko sath liya chalte hai ham,
Rona bhut hai fir bhi haste hai ham,
Zakhma dikane se kabhi nahi mitte,
Use dil mai rakh kar masti se jeete hai ham…..



Hum dekh nahi sakte unke aankh mai aashu
Isliye apni jeet ko bhi haar kehte hai,
Hum is qadar hai isqe mai pagal ki,
Unke zulmo ko bhi pyaar kehte hai…



Kuch likh nahi paate, kuch suna nahi paate,
Haale dil zubaan par laa nahi paate,
Aap utar gaye ho dil ki gehraio mai,
Aap samjh nahi paate, hum samjha nahi paate…



Jaam se na kar itni nafrat ki peeni pade to pee na sako,
Ae dost zindahi mai na kar kisi se itni mohbbat ke na mile wo to jee na sako….



Seediya unke liye bani hai,
Jinhe chatt par jana hai,
Aasma par ho jinki nazar,
Unhe to rasta khud banana hai….



Jo kal tha use bhula kar to dekho,
Jo aaj hai use to dekho,
aane wala pal khud hi guzar jayga,
Bas zindagi ko pyaar se jee kar to dekho….



Wafa ek pathar se pana chahta hu,
Mai khood ko aajmana chahta hu,
Kyu ek naya dard deti hai ye zindagi,
Jab bhi mai khool kar muskurana chahta hu....



Maa ki dua khali nahi jaati,
Uski baddua taali nahi jaati,
Bartan maanj ke bhi maa 3-4 bache paal leti hai,
Lekin 3-4 bacho se ek Maa nahi paali jati….



Naa jane kyu wo hamse muskura ke milti hai,
Ander ke saare gum chupa kar milti hai,
Janti hai aankhe sach bol jaati hai,
Sayad isliye wo nazre jhuka kar milti hai…..



Naa aankhe churate hai na dil churate hai,
Naa isqh karte hai na mohbbat karte hai,
Duniya mai sabse khubsurat rista hai dosti,
Usi ko nibhane ki koshish karte hai….



Tere share-e-wafa ke logo ne,
Pahle pyaar kiya fir chod diya,
Mujhe sagar samjh ke pite the,
Jab pyaas bhuji tab tod diya….



Nazakat karne wala kabhi rutha nahi karte,
Khud ko lutaane wale kisi ko loota nahi karte,
Toot jate hai nazdiki riste,
Par dil ke riste kabhi toota nahi karte….



Waqt ke dayre se ham nikal na jaaye,
Aapke dil se kabhi ham utar na jaaye,
Humj roj aapko yaad dilaya karenge,
Warna kahi aap hame bhool na jaaye…



Kabhi dekha na lakiro se mukadar hamne,
Paaw felaye sada dekh kar chadar hamne,
Hamne sach baat kahi or bure ban bethe,
Aur sach baat par khaye pathar bhi hamne….



Dard hai dil mai par iska ehsas nahi hota,
Rota hai dil jab vo pass nahi hota,
Barbad ho gaye ham unke pyaar mai,
Aur vo kehte hai ki is tarha pyaar nahi hota….



Kabhi sab kuch keh kar bhi baat adhuri reh jaati hai,
Kabhi kuch na kehkar bhi baat poori ho jaati hai,
Keh do har vo baat jo jaruri hai,
Quanki kabhi zindagi bhi bewaqt poori ho jaati hai….



Jaruri nahi ki saari duniya achi nikle,
Saari mohbbate sachi nikle,
E- khuda likh meri kismat dusri kalam se,
Jaruri nahi ki dusri kalam bhi kachi nikle….



Pyaar mai aajmaise hoti hai,
Dil mai milne ki khwaise hoti hai,
Aapko ham yaad nahi karenge har pal,
Yaad unhe karte hai jinhe bhool jane ki gunjaise hoti hai….



Hamari dosti kuch alag honi chahiye,
Hamari yaado ki aapko kadar honi chahiye,
Kabhi tarse na koi pyaar ke liye,
Dosti mai aisi mehak honi chahiye….



Tadap ke dekh kisi ke pyaar mai,
To pata chale ki intzar kya hota hai,
yuhi mil jaaye koi bina tadpe,
To kaise pata chalega pyaar kya hota hai….



Nazar se door hai dil se door na karna,
Hamme lakh buraiya sahi,
Inhi buraio ke bahane hame yaad jarur karna…



Har pal tera intzaar karta hu,
Naa juda hu rab se yahi fariyaad karta hu,
Mar kar bhi tera sath na chodunga,
Kya karu mai tumse bepanha pyaar karta hu….



Tanha rehna to sikh liya hamne,
Par khush na kabhi reh paynge,
Uski doori to she lete hai,
Par uski mohbbat ke bina na jee paynge…..



Bina dard ke aanshu bhaye nahi jaate,
Bina pyaar ke riste nibhaye nahi jaate,
Zindagi mai ek baat yaad rakhna,
Kisi ko rula kar apne sapne sajaye nahi jaate….



Hamesha unhi ke karib mat rahiye,
Jo aapko khush rakhte hai,
Kabhi unke bhi karib rahiye,
Jo aapke bina khush nahi reh sakte…..



Chup chup kar tanha ro lenge,
Ab dil ka dard kisi se na bolenege,
Neend to aati nahi raato mai,
Jab rukegi dil ki dhadkan to jee bhar ke so lenge….



Is dosti ki har khata ko maaf kar dena,
Har gile har sikhve kodil se saaf kar dena,
Akele na sehna koi bhi takleef,
Dukh ho ya sukh sab half half kar lena….

Maa Ki Dua Lekar Jaana

Andhere hai raaste diya lekar jaana,
Apne aanshuyo ki ziya lekar jana,
Tumhe har musqil se bacha legi hamesha,
Bas ghar se Maa ki Dua lekar jaana….


Sanskar sanskriti aur shaan mile,
Aise hindu muslim or hindustan mile,
Rahe ham mil-jul kar aise,
Ki mandir mai Allaha or masjid mai Ram mile…..


badi haseen thi zindagi jab na kisi se mohabbat na kisi se nafrat thi,
Zindagi mai ek mod aisa mohabbat ek se hui or nafrat saari duniya se ho gai…..


Hum jab bhi aapki duniya se jaynge,
Itna apnapan de jaynge ki,
Jab bhi yaad karoge is pagal dost ko,
hasti aankho se aanshu nikal aayenge….



Meri qabar par vo rone aaye,
Hamse pyaar hai ye kehne aaye,
jab zindagi thi to rulaya bhut,
Ab ham chain se so gaye hai to fir se jagane aaye…



True Line in Life:-
Jab ham ek hi majak ko lekar baar baar has nahi sakte,
To ham ek hi gum ko lekar baar baar kyu rote hai….


Kabhi sham kabhi aanchal ka kinara dena,
Mai kabhi doob ke ubaru to shara dena,
teri ulfat mai mukamal hu har pahlu se,
Mujhe dard bhi dena to saara dena….



gum ki halat mai muskurana badi baat hai,
thokar kha kar dil lagana badi baat hai,
Inkar kiya tha har baar jisne,
Har baar usi ko chahna badi baat hai….



Doob jati hai kastiya jab aate hai toofan,
yaade reh jaati hai bichad jaate hai insaan,
Yaad rakhoge to bhut karib paaoage,
bhool jaoge to dhunte reh jaoge…..



Kaun kehta hai ki khuda nazar nahi aata,
Sirf vhi to nazara aata hai jab kuch samjh nahi aata….



Aapki dosti hamare sooro ka saaz hai,
Aap kaise dost par hame naaz hai,
Chahe kuch bhi ho jaaye zindagi mai,
Dosti kal bhi vaise rahegi jaise aaj hai….



vaada hai tumhe nahi sataynge,
Dil na kabhi aapka dukhaynge,
Jab tak hai sath"Jhel lo bhai".
jab mar jaynge to sach mai yaad bhi nahi aaynge….




bheed mai thi vo na ro saki hogi,
Lekin yakin hai raat bhar na so chuki hogi,
Vo saqs jise samjhne mai mujhe umar lagi,
Bichad ke mujhse kisi ki na ho saki hogi….



Fariyaad karne par rab ne sab kuch diya,
Par hamne na isko mehsus kiya,
Sukar guzar hai hum rab ke,
Jo bina mange tere jaisa dost diya…..



Mai seesha hu keh diya tha jamaane se,
Wo baaz na aaye fir bhi aazmaane se,
Mai khush tha uski khusi mai,
Aur uski khusi thi mere toot jaane mai…..



Kaise kahu ki apna bana lo mujhe,
Bahon mai apni samma lo mujhe,
Aaj himmat karke kehta hu,
Ki mai tumhara hu ab tumhi sambhalo mujhe…..




Aap aate ho aankho mai chand sitare lekar,
Jaane kaha gaye khaaw hamare lekar,
Kitne hi door chale jaao hamse lekin,
Waqt aayga aapko pass hamare lekar….